Sunday, June 29, 2008
DHARTI
Iss Shah Latif ki dharti mein
Iss amn-o-pyar ki basti mein
Mein paida hooa iss dharti mein
Parwan charha iss basti mein
Khana bhi yaheen ka khaya hai
Pani bhi issi dharti ka piya hai
Phir mujh say door kyun rehaytey ho?
Kyon mujh ko ghair samajhtey ho?
Mein tum say alag, tum mujh say judaa
Kyon aisi sochain rakhtey ho?
Labels:
Altaf Hussain,
Dharti,
Karachi,
Mqm,
MqmLoyals,
Muttahida,
Muttahida Loyals,
Muttahida Quami Movement,
Politics,
Sindh